॥ दोहा ॥
कृपा मई वृषभानु कुंवरी, सुन लीजो अरदास।
इंद्रेश तेरे चरणन की, निसदिन राखो आस॥
॥ चौपाई ॥
ऐसी कृपा करो श्री राधे, चरणों में तेरे स्थान रहे।
जब तक तन में प्राण रहे, जुबां पे राधा नाम रहे॥
ऐसी कृपा करो श्री राधे॥
संसार का कोई लोभ नहीं, धन दौलत की कोई चाह नहीं।
बरसाने की धूल मिले, फिर कोई परवाह नहीं॥
निसदिन तेरा ध्यान रहे, चरणों में तेरे स्थान रहे।
ऐसी कृपा करो श्री राधे॥
श्याम सुंदर भी रीझ जाएं, जब राधा नाम पुकारूँ।
तेरे चरणों में लाडली, ये जीवन अपना वारूँ॥
मन में बस यही अरमान रहे, चरणों में तेरे स्थान रहे।
ऐसी कृपा करो श्री राधे॥
इंद्रेश कहे करुणामयी, तुम हो भक्तन की रखवाली।
तेरे दर से कभी न लौटे, कोई भी झोली खाली॥
सदा श्यामा का वरदान रहे, चरणों में तेरे स्थान रहे।
ऐसी कृपा करो श्री राधे॥
॥ दोहा ॥
राधा चरण सरोज में, मन मधुकर हो लीन।
इंद्रेश पर कृपा करो, जानि अपनो दीन॥
|| Doha ||
Kripa mayi Vrishbhanu kunwari, sun leejo ardaas.
Indresh tere charnan ki, nisdin raakho aas.
|| Chaupai ||
Aisi kripa karo Shri Radhe, charnon mein tere sthan rahe.
Jab tak tan mein praan rahe, zuban pe Radha naam rahe.
Aisi kripa karo Shri Radhe.
Sansaar ka koi lobh nahin, dhan daulat ki koi chaah nahin.
Barsane ki dhool mile, phir koi parwaah nahin.
Nisdin tera dhyaan rahe, charnon mein tere sthan rahe.
Aisi kripa karo Shri Radhe.
Shyam sundar bhi reejh jaayein, jab Radha naam pukaarun.
Tere charnon mein laadli, ye jeevan apna waarun.
Man mein bas yahi armaan rahe, charnon mein tere sthan rahe.
Aisi kripa karo Shri Radhe.
Indresh kahe karunaamayi, tum ho bhaktan ki rakhwaali.
Tere dar se kabhi na laute, koi bhi jholi khaali.
Sada Shyama ka vardaan rahe, charnon mein tere sthan rahe.
Aisi kripa karo Shri Radhe.
|| Doha ||
Radha charan saroj mein, man madhukar ho leen.
Indresh par kripa karo, jaani apno deen.