॥ दोहा ॥
फूल बंगला सजो अति सुंदर, महके वृंदावन धाम।
मृदुल कृष्ण नयनों बसे, युगल रूप अभिराम॥
॥ चौपाई ॥
फूलों में सज रहे हैं, श्री वृंदावन बिहारी।
और संग सज रही हैं, वृषभानु की दुलारी॥
फूलों में सज रहे हैं, श्री वृंदावन बिहारी॥
टेढ़ा मुकुट है सिर पर, टेढ़ी लटक रही है।
बंशी मधुर अधर पर, अमृत टपक रही है॥
गल मोतियन की माला, चमके छटा तिहारी।
फूलों में सज रहे हैं, श्री वृंदावन बिहारी॥
चंपा चमेली बेला, कलियों का हार सुंदर।
रजनीगंधा महकती, ब्रज भूमि के अंदर॥
सुरभित पवन सुहानी, बलिहारी कुंजबिहारी।
फूलों में सज रहे हैं, श्री वृंदावन बिहारी॥
मृदुल कृष्ण गावे छवि, अति दिव्य मनोहारी।
राधा संग विराजे, बांके कुंजबिहारी॥
फूलों में सज रहे हैं, श्री वृंदावन बिहारी।
और संग सज रही हैं, वृषभानु की दुलारी॥
॥ दोहा ॥
पुष्प सुगंधित सेज पर, राजत युगल किशोर।
मृदुल कृष्ण मन भृंग सम, लटके चरणन ओर॥
|| Doha ||
Phool bangla sajo ati sundar, mahke Vrindavan dhaam.
Mridul Krishna naynon base, yugal roop abhiraam.
|| Chaupai ||
Phoolon mein saj rahe hain, Shri Vrindavan Bihari.
Aur sang saj rahi hain, Vrishbhanu ki dulaari.
Phoolon mein saj rahe hain, Shri Vrindavan Bihari.
Tedha mukut hai sir par, tedhi latak rahi hai.
Banshi madhur adhar par, amrit tapak rahi hai.
Gal motiyan ki maala, chamke chhata tihaari.
Phoolon mein saj rahe hain, Shri Vrindavan Bihari.
Champa chameli bela, kaliyon ka haar sundar.
Rajnigandha mahkati, Braj bhoomi ke andar.
Surabhit pawan suhaani, balihaari Kunjbihari.
Phoolon mein saj rahe hain, Shri Vrindavan Bihari.
Mridul Krishna gaave chhavi, ati divya manohaari.
Radha sang viraaje, Banke Kunjbihari.
Phoolon mein saj rahe hain, Shri Vrindavan Bihari.
Aur sang saj rahi hain, Vrishbhanu ki dulaari.
|| Doha ||
Pushp sugandhit sej par, raajat yugal kishore.
Mridul Krishna man bhring sam, latke charnan or.